Friday 10 February 2012

teri nigah

Teri Nigaah Bhi Iss Daur Ki Zakaat Hui….
Jo Mustahiq Hai Ussi Tak Naheen Pohanch pati …
Talash kesy karen khusboon ke maskan ko
hawa bhi chup hy badan hy nidhaal apna bhi
Tooty dilon ko jordna maqsood zeesst hy
mai kar raha ho muslik-e-Pighambaron ki baat

MOHABAT TUM NAI KARNA


kaha tha jab ussay main nay
zara mujh ko batao to
mohabbat kis ko kehtay hain
bhala kaisay yeh hoti hai
meri woh baat sun k to
zara dheemay say muskaya
labon ko bheench k uss nay
tha palkon ko bhi jhapkaya
zara sa soch k uss nay
lya tha saans ik gehra
hua tab mujh say yon goya

mohabbat naam hai jisska

naseebon say he milti hai
shoro ankhon say hokar to
yeh qabza man pe karti hai
suna hai me nay logo say
k khon-e-dil pay palti hai
kabhi yeh seher ki manind
kabhi yeh shaam lagti hai
kabhi kanton ki yeh chilman
kabhi pholon bhara gulshan
kabhi yeh man ki mehmaan hai
kabhi ye dushman-e-jan hai
kabhi yeh jeet ka paikar
kabhi yeh haar lagti hai
kabhi tan mun jalati hai
lahoo bhi yeh rulati hai
kabhi masroor karti hai
kabhi ranjoor karti hai
kabhi khudsur banayay yeh
kabhi majboor karti hai
kabhi yeh zakham deti hai
kabhi marham lagayay yeh
kabhi yeh dar badar karday
kabhi sehra nagar karday
kabhi kaanton pay sulwayay
kabhi patharon pay chalwayay
kabhi taano ka mojib hai
kabhih khud pe he hasayay
mohabbat jog bhi to hai
yeh dil ka rog bhi to hai
mohabbat dhoop ki shiddat
mohabbat gul ki narmahat
mohabbat chandni bhi hai
mohabbat ragni bhi hai
mohabbat phool main khushboo
mohabbat chamakta jugnoo
mohabbat aik qehqaha bhi
mohabbat ankh ka ansoo
mohabbat raat ki rani
kabhi jharno ka yeh pani
kabhi yeh ablaa dil ka
kabhi yeh ooas ka qatra
ajab sanjoog hai yeh to
musalsal rog hai yeh to
mohabbat jan ki dushman
kahin yeh aan ki dushman
jaha tak hosakay mumkin
bachana iss say tum daman

KAY ANKHAIN NUM NAHI KARNA

MOHABBAT TUM NAHI KARNA...!!!

Wednesday 8 February 2012

mujhey tumse mohabat he

Pyaar Hai Tum Say

Kaha Na Pyaar Hai Tum Say
To Phir Kyon Zid Tumhari Hai
K Jub Bhi Main Miloon Tum Say
Yehi Izhar Ho Lab Pay
Mujhe Tum Say Muhabbat Hai…!
Tumhain Maloom Hai Jana
Muhabbat To Muhabbat Hai
Yeh To Ankhon Mein Dikhti Hai
Haseen Say Khwab Ki Soorat
Isay Kehna Nhi Parta…!
Buhut CHup CHaap Jazba Hai
Dabay Paon He CHalta Hai
Magar Jo Naksh Is K Hain
Buhut He Gehray Hotay Hain
Unhain Kehna Nhi Parta…!
Magar Izhar Hota Hai
Kabhi Baton Ki Khushbu Say
Kabhi Ankhon Ki Shokhi Say
To Phir Kyon Zid Tumhari Hai
K Jub Main Miloon Tum Say
Yehi Izhar Ho Lab Pay
Mujhe Tum Say Muhabbat Hai…!
Magar Tum Janti Ho Na
Tumhari Baat Ko Jaana
Nhi Main Taal Sakta Hoon
Chalo Main Tum Say Kehta Hoon
Mujhe Tum Say Muhabbat Hai…!

Tuesday 7 February 2012

hum apna her qadam

chalo mohsin mohabat ki nayi bunyaad rakhte hai,
khud paband rehtay hai usay azaad rakhtay hai,
hamare khoon main rab ne yahi taseer rakhi hai,
burai bhool jaty hai achai yaad rakhtay hai,
mohabat main kahien hum se gustakhi na ho jaye,
hum apna har qadam us k qadam k baad rakhte hai…

apna ghar

Apna Ghar Kitna Hi Viraan Ho,Phir Apna Ghar Hai
Bistar-e-Khaak Lagy Takht-e-Sulemani Mujh Ko
Jaanta Hon Main Khad-o-Khaal Ki Kimat MOHSIN
Aaina Kr Na Saky Ga Kabhi Heeran Mujh Ko………..!!