Tuesday, 7 February 2012

Hawa mai dhond rahi hy koi sada muj ko

Hawa men dhund rahi he koi sada muj ko
pukarta hy paharon ka silsilah mujh ko
Mai asma-o-zameen ki hadein mila deta
koi sitara agar jhuk ke chumta mujh ko
Chipak gaey mere talwon sy phool sheeshy ke
zamana khench raha tha barhana paa mujh ko
wo shehsawar barda reham dil tha mere liye
barha ke nezah zameen se utha liya mujh ko
makan,khait,sabhi aag ki lapait men the
sonahri ghaas mao es ne chupa diya mujh ko
Tu aik hath men ley aag ek men paani
tamam raat hawa men jala bujha mujh ko
Bas ek raat men sarsabz ye zameen hui
mere khuda ne kaha tak bicha diya muje ko

No comments:

Post a Comment