
Zindagi mein tou sabhi payar kiya kertey hein
Mein tou marr ker bhi meri jaan tujhey chahon gaa
Tu mila hai tou yeh ehsas hova hai mujh ko
Yeh meri umer mohabbat key liye thori hai
Eik zara sa ghum e dauran ka bhi hakk hai jis per
Meiney woh sans bhi terey liye rakh chouri hai
Tujh peh ho jaon ga qurban tujhey chahon gaa
Apney jazbat mein naghmat rachaney key liye
Meiney dharkan ki tarah dil mein basaya hai tujhey
Mein tasawar bhi judai ka bhala kesey karon?
Meiney kismat ki lakiron sey churaya hai tujhey
Payar ka ban key nighehban tujhey chahon gaa
Mein tou marr ker bhi meri jan tujhey chahon gaa
Zindagi mein tou sabhi payar kiya kertey hein
Mein tou marr ker bhi meri jaan tujhey chahon gaa
No comments:
Post a Comment